NAFARMAN AULAD
Naqsh No 14 (NAFARMAN AULAD): Hamaray es mozu
main un maa baap kay liye rahnumai hai jin ko aulad ke nafarmani ki waja saay
bohat c pareshaniyon ka samna karna parta hai. Hum ap ki tawajo us cheez ki
taraf mabzoul karwana chahtay hain jo bachay ko nafarman banati hai aur barwaqt
khatam na honay ke waja saay maa baap ko moashray aur rishtedaron main zillat
ka samna karna parta hai. Rohani nuqta-e-nazr saay bachay ke pedaish kay baad
azeez-o-akarib aur doost ehbaab jab us khushi kay moqay par bachay ke mubarak
baad daynay atay hain to un main kuch afrad hotay hain jo us bachay ko muhabbat
ki nigah saay dekhtay hain aur usi doran un kay dimagh saay muhabbat ke lehrain
nikalte hain aur us bachay kay gird gardish kartay kartay muhabbat ka daira bana
dayte hain.